Asli Shehad Ki Pehchan Karne Ka Tarika
How to Check if Honey is Real or Not?
Aaj kal market aur bazaron mein jaali aur 2 number shehad ki farokht (selling) bohat ziyada ho chuki hai.Jiski wajah ye hai k awaam(public) ko asli aur naqli shehad ki pehchan hi nahi hoti,aur woh apna paisa barbaad kar letay hain.Aaj hum aapko asli shehad ki pehchan ke chund tariqay bata detay hain:
* Sab se pehle shehad ki bottle par lagaye huwe label ko check karein, Jis par ajza e tarkeebi(ingredients) likhay huwe hon.Shehad bananay wali company par Imaandaari(honestly) ke saath ajza e tarkeebi likhnaa qaanuni aur ikhlaaqi tor par laazim hai.
* In ajza(ingredients) mein agar Additives yaani aisay maaday jo tail mein isliye milaye jaate hain,k is mein koi Ghair mamooli khasoosiyat paida ho jaye, agar aisa na ho to befikar ho kar ye shehad khareed(buy) lein.
* Aik glass paani mein shehad se bharaa chamuch daal dein.Agar shehad khaalis hai to paani mein hal nahi hoga.Aur agar khaalis nahi to paani mein hal ho jaye ga. Kyon k market mein milne waale aksar shehad gurr se banaye jaatay hain.
* is tariqay mein shehad ki jaanch ke liye aapko 1 liter aur mombatti chaahiye. Mombatti mein mojood cotton ki batti ko shehad mein bhigo kar aik baar jhatak dein.Aur phir liter ke zariye isay aag laganay ki koshish karein. Agar is batti mein aag lag gayi to samajh lein k shehad khaalis hai.
* Shehad ke chund qatray jazb karnay waalay kaaghaz par tipka dein.Agar ye kaaghaz qatray jazb kar giya to samajh lein k ye shehad khaalis nahi hai.agar aapke paas jazb karnay waala kaaghaz nahi hai to Iske liye aap white kapraa bhi istemaal kar saktay hain.is kapray par shehad ke chund qatray giraa kar Thori dair baad isko dho lein. agar kapray par daagh dhabbay ka nishaan baaqi reh jaye to samajh lein k shehad khaalis nahi hai.
No comments:
Post a Comment