Breast Cancer Se Kaise Bache Breast Cancer Ki Pehchan Breast Cancer Kaise Hota Hai in Urdu
Breast Cancer Details in Hindi Breast Cancer Treatment in Pakistan in Urdu
Breast Cancer Ayurvedic Treatment in Hindi Breast Cancer Symptoms Pain in Hindi
Breast Cancer Kya Hai?
Breast Cancer ko Chaati Ya Pistaan ka Sartaan bhi kaha jaata hai.Breast Cancer Sartaan ki woh qism hai, jo kisi khatoon ki Chaatiyon ke Tissues mein doodh ki naaliyon ki androoni diwaar, ya un naaliyon ki doodh ki supply karnay walay zakheera aur Lobules mein paida Hota hai.Breast Cancer ziyada tar 50 se 60 saal ki khawateen mein paya jaata hai, Lekin ab kam Umar khawateen bhi tezi ke saath Iska Shikaar ho rahi hain.Is qism ka Sartaan Chaati ke ke khuliyon ke under hi paida hota hai.Pistaan asal mein ghadood aur uzlaat par mushtmil narm hissay aur bareek naaliyon ka haamil Organ hai.Har hissa mazeed chotay chotay hisson mein bata huwa hai, jinko Fasees ya Lobes kehtay hain.Yeh Lobes mazeed chotay chotay bubbles numa ajsaam Yaani Buslaa ya Ducts se milay hotay hain.Yahaan par doodh bantaa hai, Jo bareek naaliyon ke zariye nipple tak bheja jaata hai.Is bunyaadi saakht ke elawa Pistaan mein khoon ki veins aur Lymph Nodes bhi bohat ziyada hoti hain.Yeh Lymph Nodes chotay chotay Girah numa ajsaam hain, jo pooray jism mein mojood hotay hain.
![]() |
Breast Cancer Kaise Hota Hai In Urdu
|
Breast Cancer ki bohat si Iqsam hain, Jo mukhtalif Stages aur Shiddat aur Genetic Makeup ki haamil hote hain. Aur is Cancer mein Sehat yaabi aur Recovery ka inhesaar is baat par hai ke Woh kis qism ka Cancer hai?Iskay ilaaj mein Surgery, Medicines, yaani Hormonal Therapy, Chemotherapy, aur Radiations shaamil hain.Kuch Iqsaam ke Breast Cancer ko barhnay ke liye Harmon Estrogen aur Pro Estrogen ki zaroorat hoti hai.Is Qism ke Cancer mein Surgery ke baad Medicines jaisay Tam ox I fun ke Zariye ilaaj kiya jaata hai,Jo in Harmon's mein Interruption karti hai.Jabkay Baaqi Dawaaon se Overy aur doosri jaghon par Estrogen ki Growth aur paida waar ko band kiya jaata hai.Jis se Overy ko nuqsaan honay aur Fertility ya owlaad paida na honay ka khatraa mojood ho sakta hai. Surgery ke baad kam Risk aur Harmonic hassasiyet walay Breast Cancer ka ilaaj sirf Hormone Therapy aur Radiations se kiya jaata hai. Hormone Receptors ke baghair Breast Cancer, ya aisa Cancer jo baghal mein Lymph Nodes tak phail chuka ho, ya jin se kuch Genetic khususiyat ka izhaar hota ho, woh ziyada Risky hotay hain. Aur inka ilaj ziyada Aggressive tareeqa se hota hai.
![]() |
Breast Cancer Causes Symptoms Treatment And Prevention
|
Breast Cancer sirf khawateen hi nahi balkay Mardon mein bhi ho sakta hai.Experts ke mutabiq Mardon ka apne Lifestyle ko badalne aur Doctors se Medical checkup karwane mein sharm mehsoos karna, in mein Khawateen ki nisbat Cancer honay ke ziyada chances ho saktay hain.England mein Cancer ki Research ke baad Experts ka kehna hai ke aisay Cancer jo mard aur Aurat dono mein hotay hain In mein khawateen ki nisbat Mardon mein Cancer honay ke 60% aur is se unki maut ho jaane ka 70% imkaan ziyada hota hai.Breast Cancer aur aisay Cancers jinka taluq Jins se hai, iskay elawa Phiphray ka Cancer bhi Mardon ko ziyada ho sakta hai. Kiyon ke mard khawateen se ziyada tambaku ya cigarette noshi kartay hain. Aur Lungs Cancer Cigarette noshi se hota hai.
![]() |
Breast Cancer Stages In Hindi Language
|
National Cancer Intelligence Network ke Professor David Foreman ka kehna hai ke Mardon aur khawateen mein Cancer honay ke Chances mein itnaa farq honay ka koi Biological factor ya wajah nahi hai.Is liye hum Yeh farq dekh kar hairaan hain.Unka mazeed kehna thaa ke is farq ko dekh kar Yeh kaha Jaa sakta hai ke iski ehum wajah Mardon mein Apna Lifestyle Change karnay mein Sharm mehsoos karna hai. Agar woh apna Lifestyle badal lein to is Cancer se bach saktay hai.
Men's Health Forum ke Chairman Professor Allen White ka kehna hai ke, mard aksar Tambaku noshi, ziyada wazan uthanay, Sharab noshi,aur kharaab khaane ke negative asraat se kam waaqif hotay hain. Aur in cheezon ke istemaal se Cancer ka khatra bohat barh jaata hai.
Duniya mein Breast Cancer ki Ratio Breast Cancer Awareness in Hindi Breast Cancer Ki Alamat in Urdu :-
Breast Cancer Asia ke elawa Poori duniya mein tezi se phail raha hai. Aik Report ke mutabiq Duniya ki Kul aabadi mein se 16% khawateen ko Breast Cancer ki bimari hai. Breast Cancer se Duniya mein har saal 5 Lakh khawateen maut ka Shikaar ho jaati hain.Western Countries mein to Breast Cancer aik aam bemari hai, Lekin ab Yeh saabit ho chuka hai ke jin elaaqon ya mulkon mein Maghrabi Culture aam ho raha hai, wahaan bhi is Cancer mein izafa ho raha hai. England mein rozana 45000 Breast Cancer ke cases ki tashkhees ki jaati hai.Jab Kay har 9 mein se 1 Aurat ko apni zindagi mein Cancer ka Shikaar hoti hai. Breast Cancer Germany aur Doosre European mulkon mein bhi tezi ke saath phail chuka hai. 4000 khawateen har saal Rehum ya bacha dani ke Cancer ka Shikaar hoti hain. Aur 10000 khawateen Ovaries ya Baiza dani ke Cancer, Jab Kay 50000 khawateen Breast Cancer ka Shikaar ho jaati hain.Yaani har 9v aurat Breast Cancer ka Shikaar hoti hai.
![]() |
Breast Cancer Ki Pehchan
|
Pakistan mein salana 90000 Breast Cancer ke cases Report hotay hain, jo Asia mein sab se ziyada ratio hai. National Health of Sciences ke mutabiq Pakistan mein Breast Cancer ki 90000 khawateen mein se Aadhi Punjab se hain.Lekin afsos naak baat Yeh hai ke in mein se sirf 10% khawateen mein Breast Cancer ki tashkhees hoti hai.Aur 75% ilaaj hi nahi karwati, aur bimari ke sirf 5 saal ke under maut ka Shikaar ho jaati hain.Experts ke mutabiq Khawateen Is bimari ko batane mein bhi Sharm mehsoos karti hain jo ke ilaaj mein sab se bari rukawat hai.
Institute of Nuclear Medicine & oncology of Pakistan ki report ke mutabiq Pakistan mein har saal 40000 khawateen Breast Cancer ki wajah se maut ke Moonh mein chali jaati hain. Aur rozana is marz ke 250 cases register hotay hain. Jab Kay rozana 110 khawateen Breast Cancer se maut ka Shikaar hoti hain.
No comments:
Post a Comment