How To Lose Weight Naturally In Hindi Language Weight Loss Karne Ka Gharelu Tarika
Weight Loss In Just a Minute Immediately
Kiya aap kay paas 1 minute hai? Agar haan to aap is 1 minute mein apna wazan kam aur control kar saktay hain.Jee haan sirf ek minute mein!
![]() |
Hamari masroof zindagi mein sey aksar hum apni sehat kay liye waqt nikalna bhool jaate hain. Jis ki wajah se humein doosri bimariyon ka khatra to rehta hi hai, lekin saath saath motapay ki bimari bhi peecha nahi chodti. Hum agar warzish karnay ya Diet food tayaar karne ka waqt na bhi nikaal paye lekin agar hum apne din mein say rozana 1 minute bhi nikaal lein to hum apne bhartay huway wazan ko kar saktay hain.Aaiye hum aapko aaj 10 aisay totkay batate hain jin kay istemaal say aap apna wazan ko control kar saktay hain.10 Totkay darj zail hain:
Weight Loss Karne Ke Liye Kya Khaye Weight Loss Karne Ke Gharelu Nuskhe
![]() |
Weight Loss Karne Ke Gharelu Tarike
|
Aaj kal mausam kay bohat say khattay meethay phal market mein mojood hain. Fridge mein say apni pasand kay fruits nikaal lein aur unka paani kay saath aik achaa Sa juice tayar karein. Aur us mein Cheeni(sugar) ka istemaal hargiz nahi karna.Is juice kay sirf 1glass say aap jism ki 85 calories kam kar saktay hain.Is hisaab say rozana 2glass juice peenay say sirf 6months mein 5pound say ziyada kam kiya Jaa sakta hai.
2- Chaltay Huway Baat Karna:-
Aap phone par ghanto bath kar baatein karne se nahi ghabratay? Jabkay ziyada der tak bath kar baatein karnay say charbi paite mein jamaa hoti rehti hai.Is liye koshish karein kay baat kartay waqt harkat mein rahein.Jaisay kay seerhiyan utarna charhna ya koi bhi Doosra kam kiya jaa sakta hai.
3- Chewing Gum Chabaein:-
Research kay motabiq sugar free chewing gum chabanay say nizaam e inhezaam(Digestive system) 20% tak tez ho jaata hai.Is treeqa say 1saal mein 10say12 pounds wazan kam kiya Jaa sakta hai.Lehaaza din mein jab bhi waqt milay aur kuch khaanay ko dil chaahay to chewing gum chabaein.
4- Rapper Zaroor Parhein:-
Koi bhi chocolate, drink ya meiwa khaanay say pehlay uska packet par likhi calories zaroor parhein.Is say aapko andaaza hoga kay aap kitni calories istemaal kartay hain. Iskay elawa aksar rapper par Yeh bhi likha hota hai kay Yeh kitnay afraad kay liye hai.Misaal kay tor par agar aik cold drink per 200 calories likhi hain aur woh 2 afraad kay liye hai, to poori botal peenay say Yeh calories 400 ho jaye gi.
Lose Weight Fast Naturally Home Remedies Kamar Ki Charbi Kaise Ghataye
5- Green Tea Ka istemaal:-
Experts kay mutabiq Caffeine Fatty acids kharij karti hai,jis say jism ki charbi asani se ghalti hai. Agar Iskay saath Sabz chaye ko bhi shamil kar liya jaye to wazan mazeed tezi say kam hota hai.Lekin Blood pressure kay mareez Caffeine ko bohat ehtiyaat aur Doctor ki hidayat kay mutabiq istemaal karein.
6- Apna Bhojan Saath Rakhein:-
Chahe aap Office jayein ya bazaar mein shopping karnay kay liye, apna khana apne saath lay kar jaayein. kyon ke bazaar ka khaana ghar kay muqablay mein tezi se wazan barhaata hai.Bahir nikal kar jab kahin bhi bhuk lage to bazaar ki talay huway khaane, Burger aur chips khaane ki bajaye ghar ki roti ya sandwich kahein.
7- Makhan nahi Zaitoon Ka Tail:-
Bread kay slice par Makhan(Butter) laganay ki bajaye Zaitoon kay tail mein Fry kar lein. Zaitoon calories ko jalaane mein madad karta hai.Iskay elawa doosray khaanon mein Zaitoon kay tail istemaal wazan kam karnay mein bohat mofeed Saabit hota hai.
![]() |
Wazan Kam Karne Ke Tarike In Urdu
|
8- Alsee kay Beej:-
Subah kay nashtay mein serial ya koi bhi doosri ghiza jaisay dahee ya naan halwa waghaira khaein toh pehlay us par Alsee kay beej chirk lein.Iskay liye aap Alsee kay beej pees kar rakh saktay hain. Din mein 3ya4 baar Alsi ke beej ka 1chamuch khaana wazan kam karnay mein bohat mofeed hai.
9- Paani ka istemaal:-
Jab bhi waqt milay to paani ki botal bhar kar apnay saath rakh lein,aur isay jald say jald khatam karnay ki koshish karein.Paani jism mein mojood faazil maaday ko khatam karta hai,aur wazan kam karnay mein bhi madad deta hai.
10- 10 Baar Uthak Baithak:-
Yeh aik bohat mofeed tarkeeb hai jis say khaanay par control karnay mein madad milti hai.Jab bhi koi khaanay peenay ki cheez khaaein,us say pehlay 10baar uthak bathuk zaroor kar lein.Is tarah jo calories aap nay pehlay istemaal ki hongi woh ghal jaaein gi,aur nayi calories istemaal karnay ki jagah ban jaye gi.
No comments:
Post a Comment