Vitamin A Aur Hamari Sehat Vitamin A Ki Kami Se Rog Vitamin A Foods List In Hindi
Vitamin A Ke Labh Vitamin A Ke Source
|
Vitamin A ka khaas asar aankhon par hota hai. Vitamin A ki kami se aik bimari ho jaati hai jiska naam andharata hai. Is bimari ke hone par insan ko andhere mein bilkul dikhai nahi deta magar din ki roshni mein idhar udhar ki ashiyaa saaf saaf dikhai deti hain. Agar vitamin A ka istemaal chund roz kiya jaye toh aankh ki khoi hui roshni phir qaim ho jaati hai.
Vitamin A Ki Jankari Hindi
Vitamin A ki kami se khushki, khaal ka chatakhna, sardi ka lagna, (asthma) dama ka hona aur doosri bemariyan bhi laahaq ho jaati hain, jin aadmiyon ki aankhon ko rungon ki pehchaan karne mein mushkil pesh aati hai unko vitamin A ki kaafi miqdaar khaani chaahiye. Bachon ko is vitamin ki khaas zaroorat hoti hai. Agar bachon ko is qism ke vitamin se mehroom kar diya jaye to in ki nashonuma ruk jaati hai aur bachon mein sokra paida ho jaata hai. Nojawano ke liye ye ziyada zaroori cheez nahi hai,kyon k in ke jism mein kuch arsaa tak is qism ke vitamin na ponhchein to unki sehat par koi fori muzir asar nahi parta, albatta agar ziyada muddat tak woh vitamins moyassar na aayein to baaz bimariyon ke paida hone ka khatra rehta hai.
Vitamin Ki Jankari Hindi Me
Vitamin A Fruits And Vegetables List In Hindi
|
Lehaza imraaz e chashm khas tor se shubkhori ya raat ko neend na aana vitamin A ki kami se hote hain. Is ke elawa bhook kam ho jaati hai, badhazmi ki shikayat rehne lagti hai.Phiphray(lungs) kamzor ho jaate hain, kaanon se peep behne lagti hai aur zakhm arsay tak qayam rehte hain, aur sab se bara nuqs ye paida ho jata hai ke jism ki quwwat e modafiyat kamzor ho jaati hai. Aisa shakhs mutaddi jaraseemi imraaz ka shikaar bohat jald ho jaata hai. Vitamin A ki khasiyat ye hai ke ye paani mein hal nahi hote lekin charbi mein hal ho jaate hain, aur hararat ponhachne se zaiya nahi hote. Yahan tak ke kuch der tak 212°degree fahrenheit par bhi qaim rehte hain. Albatta in ko 3 se 4 ghantay tak hararat par rakha jaye to uss waqt aahista aahista zaiyaa hone lagte hain.
No comments:
Post a Comment